SKU:
Package for Piles Treatment
About the Product
Bawaseer kya hai. Yeh maidy or aanton sy mutaliq bemari hai jo pakhany sy khoon any ka sabab bhe banti hai q k bawasir ki wajah sy maqaed ki raggain sooj jati hain. hemorrhoid ka size mukhtalif ho sakta hai. Daimi qabz, ishaal, pakhana karty waqat shadeed tanao or khuskhi qabz ko barhany main aham kirdar ada karty hain. Dekha gaya hai k bawaseer moroosi bemari bhe hai jo k agar aap k khandan main koi fard is marz ka shikar hai to kabhi na kabhi or kisi na kisi waqat aap ya aapky khandaan ka koi or fard bhe iska shikar ho sakta hai. Jab apki bari aant ya maqaed main dabao paida hota hai jiski wajah sy ye sozish ka shikar hoti hai or bawasir (piles) main tabdeel ho jati hai. Bawasir aam tor par qabaz or khushki ki waja sy hoti hai. Yeh bemari aam tor par darmyani umar or umar raseeda afraad main aam hai. Pakhana karne main dushwari or aanton main nami khatam hone ki wajah sy pakhana aanton main khushak ho jata hai. Khushki ke sabab pakhana kharij karty waqat kafi takleef hoti hai. Bari aanton main khushki ki waja sy raggon py dabao parta hai. Yeh dabao khoon k bahao ko sust kar deta hai. Jiski wajah sy raggon main sozish ho jati hai jo baad main bawaseer ka sabab banti hai.
BAWASEER (Piles) KI WAJUHAAT
Koi bhe cheez jo aap ky maqaed par dabao daly or apki raggon ko phula dy wo bawasir ka sabab banti hai, in wajuhaat main shamil hain;
- Bhari bharkam wajood
- Pakhany k waqat aanton main tanao
- Qabaz ya ishaal
- Pakhana aany main be quaidagi
- Ziyada dair tak bethy rehna
- Aurton main hamal or zachgi k waqat
- Resha dar ghizaon ka istemal na karna