SKU:
Package for Flu Treatment (نزلہ زکام کا علاج)
About the Product
Nazla or zukam bohat he aam bemari hai jis main naak or ankhon sy faasid madah ka ikhraaj hota hai or ye aapky mudafiati nizaam ko buri tarha mutasir karta hai. Agar bar-waqat nazla zukam ka ilaaj na kiya jaye to ye barh kar galy ki mukhtalif bemariyon k sath sath shadeed bukhar (fever) ka sabab bhe ban sakta hai or yeh balgham bhe paida kar sakta hai. Zukam aik fard sy dusry fard main muntaqil ho jata hai, lehaza jisy bhe ye bemari ho, usy chahye k wo ilaaj k sath sath parhaiz bhe ikhtiyar kary.
NAZLA ZUKAM KA GHARELU ILAAJ
BEHNY WALY NAZLA K LYE QEHWA
- Laung (Cloves)1 g
- Dar Chini (Cinnamon) 1 g
- Munakka (Raisins) 2 g
- Paani (Water)1 cup
TARKEEB
Uper diye gaye ajza ko aik bartan main pani ly kar us main daal dain or achi tarha josh dy kar qehwa tayar kar lain or rozana 3 cup subh, dopaher or sham main istemal karain.
KHUSHK NAZLA K LYE QEHWA
- Adrak (Ginger) 1/2 g
- Podina (Mint)1 g
- Paani (Water) 1 cup
- Kali Mirch (Black Pepper) 1 g
- Shaker (Sugar) Hasb-e-Zarurat
TARKEEB
In sab cheezon ko josh dy kar rozana 3 cup subh, dopaher or sham main kam sy kam 5 roz tak istemal karain.
GARAM NAZLA K LYE QEHWA
- Choti Elaichi (Cardamom) 2 adad
- Sufaid Zeera (White Cumin) 1 g
- Gulab k Patty (Rose Petals) 1 g
- Paani (Water) 1 cup
- Cheeni (Sugar) Hasb-e-Zarurat
TARKEEB
In sab cheezon ko josh dy kar rozana 3 cup subh, dopaher or sham main kam sy kam 5 roz tak istemal karain.